Custom Search

Wednesday, October 21, 2009

Triveni (by Gulzar)...

Triveni is an interesting form of poetry originated by Gulzar. It's a 3 line poem. The first 2 lines can be considered as a Sher and the third line gives an additional twist to the meaning of the first 2 lines ! It's a novel idea. As one can imagine, it's creatively very demanding and a difficult form to explore.

________________________________________________

Saamne aaye mere, dekhaa mujhay, baat bhi kee
muskuraaye bhi puraani kisi pehchaan ki khaatir
kal ka akhbaar tHaa, bas dekh liyaa, rakh bhi diya

________________________________________________

Kya pata kab, kahan se maregi
bas, ki main zindagi se darata hoon
maut ka kya hai, ek baar maregi
________________________________________________



Chaudahanve chaand ko phir aag lagi hai dekho
phir bahut der talak aaj ujaala hoga
raakh ho jaayega to kal phir se amaavas hogi
________________________________________________

Uff ! ye bheega hua akhbaar
paper waale ko kal se change karo
paanch sau gaaon bah gaye is saal
________________________________________________

Fraak utha kar ponchh rahi thi munni aankh se kaajal
torch jalaayi munne ne, aah, ye kya, chaunk gayi
sooraj se sharma gayi, dekha, nanhi-munni subha
________________________________________________

Aao, saare pahan len aaiine
saare dekhenge apnaa hi chehara
rooh? apni bhi kisne dekhi hai!
________________________________________________

Saanwale saahil pe gulmohar ka peD
jaise Laila ki maaNg mein sindhoor
dharm badal gaya bechaari ka!
________________________________________________

Kaun khaayegaa kiskaa hissaa hai
daane-daane pe naam likhaa hai
seth Soodchand Moolchand Aaqaa'
________________________________________________

Zulf mein yooN chamak rahi hai boond
Jaise bEree mein tanhaa ik jugnoo
kyaa buraa hai jo chhat Tapaktee hai !
________________________________________________

Shaam se shama jalee dekh rahee hai raastaa
koyi parwana idhar aayaa nahiN der huyi
saut hogee meree jo paas mein jaltee hogi'
________________________________________________

Raat ke peD. pe kal hi dekhaa thaa
chaand, bas pak ke girne wala thaa
sooraj aayaa thaa, zaraa uski talaashi lene!
________________________________________________

Bas, hawaa hi bharee hai goloN meiN
suee chubh jaaye to pichak jaayeN
log gussE meiN bum nahiN bantE !
________________________________________________

Itne logoN meiN, keh do aaNkhoN ko
itnaa ooNchaa na aise bolaa kareN
Log meraa naam jaan jaate haiN
________________________________________________

Dil ko baaloN se nochtaa hai sar
sar meiN naakhooN khubo rahaa hai dil
azal ke dost ye, azal se dushman haiN!
________________________________________________

Maa ne duaaye di thi…
ek chand si dulhan ki….
aaj footpath par lete hue,yeh chand mujhe roti nazar aata hai!
________________________________________________

Mujhe aaj koi aur na rang lagao…
Purana laal rang ek abhi bhi taaza hai..
Armaano ka khoon hue zyaada din nahi hua hai…
________________________________________________


Tere gesoo jab bhi baatein karte hain,
Uljhi-uljhi si woh baatein hoti hain…
Meri ungliyon ki mehmaangi, unhein pasand nahin…
________________________________________________

Ek ek yaad uthaao aur palkon se ponchh ke vaapis rakh do,
Ashq nahi ye aankh mein rakhe keemti keemti sheeshe hain...
Taak se gir ke keemti cheezein toot bhi jaaya karti hain!
________________________________________________

Yeh Mana Is dauran kuch saal beet gayee hai
Phir Bhi aankhon mein chehra tumhara samayee Hui Hai...
Kitabon Pe Dhul Jamne Se Kahani Kahan Badalti Hai .
________________________________________________

Kaante waali taar pe kisne geele kapde taange hain
Khoon tapaktha rehtha hai..aur naali mein behjaatha hain.
Kyon is Fauji ki Bewa har roz yeh vardhi dhothee hain...
________________________________________________

Ek ek yaad uthaao aur palkon se ponchh ke vaapis rakh do,
Ashq nahi ye aankh mein rakhe keemti keemti sheeshe hain...
Taak se gir ke keemti cheezein toot bhi jaaya karti hain!
________________________________________________

Kuch Aisi ehthiyath se nikla chaand phir..
jaise andheri raat mein khidki pe aao tum...
Kya chaand aur zameen mein bhi kuch kicchaav hain?
________________________________________________

Koi chaadar ki tarah kheenche chala jaata hai dariya,
Kaun soya hai tale iske jise dhoondh rahe hain...
Doobne wale ko bhi chainse sone nahin dete !!
________________________________________________

Chalo aaj intezaar khatam hua
Chalo ab tum mil hi jaaoge..
Maut ka koi fayda to hua.
_______________________________________________

Yeh Mana Is dauran kuch saal beet gayee hai
Phir Bhi aankhon mein chehra tumhara samayee Hui Hai...
Kitabon Pe Dhul Jamne Se Kahani Kahan Badalti Hai .

=======================================

-- Gulzar.

No comments:

Post a Comment